HomeHealth

गुनगुने पानी में शहद और नींबू के 10 फायदे Benefits of Honey Lemon Warm Water

Like Tweet Pin it Share Share Email

Ye baat to lagbhag sabhi jante hi hai ki subah ek glass gungune paani me shahad or niboo milakar peena health ke liye labhadayak hota hai. kyoki shahad ko garm paani ke sath lene se humara weight kam hota hai, or iske rojana sevan karne se health se judi kai bimariyo se hamesha ke liye chhutkara paya ja sakta hai. To aaiye humare sath hum aapko btate hai gungune paani ke sath neebu or sahad ke kai fayade.

1. Pachan Kriya Sahi Rakhe– acche pachan ke liye subah garm paani me sahad or niboo mila kar pina chahiye. Yah aapke pet ko saaf karne me humari help karta hai. niboo ke andar mojud tejaab humare paachan tantra me madad karta hai or sath hi vishele padartho ko bahar nikalne me humari help bhi karta hai. iske alava shahad ek anti- bacterial ke rup me karya karta hai or humari body me mojud kisi bhi tarah ke sankraman ko rokane me humari help karta hai.

2. Kabj Door Kare–  hum aapko bta de ki iske sevan karne se aapke pet me kabj (gas) ki problem bhi nahi rahegi. Yah humare sareer me jaa kar humare sukhe mal ko paani me bhigo deta hai jisse humara pet haidret hota hai or mal karne me aasani hoti hai.

3. Lasika Pranali Ki Safai Me Madadkar- humari lasika pradali me paani or taral padarth ki kami ho jati hai jiske karan aapko sust or thaka hua mahsus hona, kabj, sone me pareshani, ucha or nimn raktchap, tanav or manshik suaasthya par prabhav padata hai. subah subah me nimbu or sahad ke sevan se humare sarir ki lasika pradali ko haidret hone me help milti hai. jisse humare sarir ko to laabh milta hi hai sath hi pratiracha pradali me bhi sudhar hota hai.

4. Mouth Fitness Me Sudhar– shahad, nimbu or garam paani ka misharan humari sansho ki badaboo ko turant door karne me madadkar hota hai. nimbu humari laar granthiyo ko sakriya or aakramak bectiriyao ko maar kar muh shudh karne me madad karta hai. humari saans me badboo ka karan jibh par jami saphed parat ka hona bhi hai. yah iss parat ko hatakar saans ki badaboo me prakartik roop se chhutkara dilate hai.

5. Mutra-Vardhak Ke Rup Me Karya– ye to hum sabhi jante hi hai ki sahad me bahut hi shaktishali Anti- bektiriyal ke goon hone hai.  iske ander kai prakar ke sankraman ko door karne ki chhamta hoti hai. nimbu or paani ke sath yah mishran humare sarir se paani ko bahar nikalne ka kam karta hai. yah aapke mutra marg ko saaf karne ka sabse acha tarika hota hai. UTI se preshaan mahilao ke liye ye ras ek vardan ki tarah hota hai. kyoki yah sankraman ko door karne me madad karta hai.

गुनगुने पानी में शहद और नींबू के 10 फायदे Benefits of Honey Lemon Warm Water

6. Energy level badata hai– Garm paani ke sath sahad lene se humari body ki energy me bhi vradhi hoti hai. sharir me jyada energy banana se sharir ke metabolism or karyapranali me bhi vradhi hoti hai. kyoki shahad humare sharir ke aango ko thik se kam karne ke liye bhi prerit karta hai. subah me garm paani nimbu ke sath lene se aap pure din bhar urjavaan bane rahte hai.

7. Vajan Gatane Me Madadkar– Sahad, nimbu or garam paani me fiber ki limit jyada hoti hai jo ki humari bhuk ki Echha   or sugar level ko kam karke pryapata energy pradan karta hai. sath hi iss mishran ko lene se bhuk bhi kam lagti hai. iss tarah se rojana subah me isse lene se din bhar me khaya hua bhojan ki matra kam ho jayegi. Apne din ki suruaat gungune paani ke sath sahad or nimbu ke sath karne se aapka vajan kaphi kam ho jayega.

8. Tvacha Ke Liye Laabhdayak– humari tvacha ke liye nimbu ke kai unlimited benefits hai . lekin iske alawa isme mojud clijing tatva blood ko saaf karne me help karte hai or nai blood kosikao ke utpadan me madad karta hai. paani or shahad ka mishran humari tvacha ke liye ek vardaan hota hai. isliye agar aap chamakdaar tvacha (body) chahte hai to yah mishran bahut laabhdayak sabit hoga.

9. Poshak Tatvo Or Vitamin Se Bharpur– shahad or nimbu ke garm paani me kai Anti-oxidant, vitamin or posak tatva paaye jate hai. iske alawa isme Anti-Eflementary (एंटी इफ्लेमेंटरी) गुण भी mojud rahte hai. islye iske sevan se humare body ki pratirakchha pranali majboot hoti hai.  sath hi ye wajan kam karne me bhi sahayak hota hai.

10. Rog Pratirodhi Chhamata Me Majbooti– shahad ka sevan humare body ke liye bahut hi jayda fayade mand hota hai isliye dr. bhi humesha iske sevan ki salah dete hai. agar aap sahad ke sath nimbu or gungune paani ke rojana sevan karte hai to isse humari body ki  rog pratirodhak chhamta badati hai. sahad or nimbu me mojud poshak tatwa humare sharir ko mosham badalne ke sath hone wale sankraman se door rakhte hai.

loading...

Comments (0)

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *