HomeHealth

डायबिटीज के आयुर्वेदिक इलाज Diabetes Ko Control Me Kaise Laye

Like Tweet Pin it Share Share Email

Diabetes Kya Hai?

प्रदूषण के इस समय में अलग अलग तरह की बीमारियों का होना एक आम बात हो गयी है, उन्ही में से एक बीमारी डायबिटीज (शुगर) भी है।  इससे लोग मधुमेह के नाम से भी जानते है , बहुत से लोगो का मानना है कि डायबिटीज का कोई इलाज नहीं है । माना, कि ये एक भयानक बीमारी होती है लेकिन ऐसा नहीं है की इसका इलाज नहीं है , आयुर्वेदानुसार – बस आप इस बीमारी को कंट्रोल में करके रखें…

Sugar se Bachne ke Upay

Diabetes sirf india me hi nahi hai yah speed se pure world me felti chali ja rahi hai but india me iss bimari ke log bahut jayada hai. or yah bimari humare daily ke khan paan, life style ki galat aadato jese bhaari khaana jyada khaane, milk me chini(sugar) ka use karne se, fat ka din par din badte jana etc. se hoti hai. lekin kuchh logo ke family me yah bimari aanuvanshikta se hoti hai.

Aayurveda kahta hai ki agar iss bimari par aapka control nahi ho pata hai to yah bimari aapke body me kai bimariyo ko bhi janm de deti hai. jese – aankho ki samashya, jodo ka dard, napunshakta, gurde ka kharab hona etc.

Diabetes Tips in Hindi कैसे करें डायबिटीज कंट्रोल ?

Control karne ke liye log medicine or doctors par hi nirbhar rahte hai, lekin agar aap apni life style me thoda sa change laye to sayad aapko medicine ki bhi jarurat na pade. To aaiye hum aapko btate hai Diabetes ke aayurvedic tricks-

काश आपको पता होते डायबिटीज के आयुर्वेदिक इलाज Ayurvedic Treatment of Diabetes in Hindi

Khan Paan Me Sudhar Kare or Motape Se Bache– chini(sugar) jese cheejo ka sevan kam se kam kare, ek baar me bhojan kabhi na kare, bhojan ko thoda thoda kai baar me khaye. Oil se bani hui cheezo ka sevan bhi kam se kam hi kare. Diabetes ke rogi ko chana, jou, gehu etc. se bani roti jyada fayde man dhoti hai. apne body par motape ko jama na hone de.

Diabetes Control Exercise

Exercise Hai Jaruri– Diabetes ke rogiyo ko exercise karna bahut hi jaruri ho jata hai. morning walk, jogging, bicycle chalane se aap fit bhi rahenge or sath me yah aapko chust or durust bhi rakhti hai.

Chot Na Lagne De–  sabse pahle to Diabetes ke rogi apne body par kisi bhi tarah ki chot na lagne se. or agar kisi tarah se aapke body par chot lag bhi gyi hai to use bilkul bhi najar andaaz na kare kyoki Diabetes se logo ka immunity system bahut hi kamjor ho jata hai, jiske chalet aapki body ki chot jaldi thik nahi hoti hai. jo ki bahut hi khatarnak shabit ho sakti hai , isliye jaldi hi doctor se contect kare.

Tension Se Rahe Bahut Door– agar aapko Diabetes  hai to aapko Diabetes hone me sabse bada hath tension ka hai. agar aap stress ke shikar h to aap walking, social discussion, exercise se apne stress ko kam kar sakte hai.

Diabetes Control Diets/Foods

Jamun Hai Faydemand– diabetes ke rogiyo ke liye jaamun bahut hi fayde mand hota hai or sath hi jaamun ki guthli bhi nahut fayde man dhoti hai. jaamun ki guthali ka baarik churan bana kar rakhle, din me 2-3 baar paani ke sath lene se peshaab me sugar ka jana kam ho jata hai.

Karela Bhi Hai Important– karela bhi diabetes ke logo ke liye jaruri hai. karele ka sevan aap daily kare to aap apni sugar ko control kar sakenge.

Dana Methi– diabetes ke logo ko dana methi ka sevan karna chahiye. Iska sevan aap iska churan bana kar iski roti bana kar kar sakte hai.

Red Meet Se Bache– diabetes ke rogi red meet ka sevan bilkul bhi na kare. Red meet hard hone ki wajah se ye bahut der se pachta hai jo ki siddha effort aapki sugar par dalta hai.

Diabetes ke logo ke liye Neem, Shilajeet, Elovera, Gou mutra etc. doctor ki salah se lete rahana chahiye or sath hi apne blood sugar ka checkup karwate rahna chahiye.

तो दोस्तों अगर आपको “शुगर(डायबिटीज)” से जुड़ा कोई सवाल परेशान कर रहा है तो आप हमे कमेन्ट करके बता सकते है और शेयर करना न भूलें ।

loading...

Comments (2)

  • Mera wajan 63 kg h jo ki sugar ki bimari se pehle 75 kg tha mujhe 1 year se sugar ka rog h ..Kya mai apna weight badha sakta hu
    Or please weight badhane k upay bhi share kare plz

    Reply
    • Author

      sugar me aapko weight banane ki jarurat nahi h..aap apne weight ko control karke rakhe wahi aapke liye best rahega

      Reply

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *